●● MANQABAT LYRICS ● ●

●Jo Ali Tak Na Pohnche Who Kahan Jaye Aur Kis Tak Pohnche?

Khuda Ki Qasam Ali Tak Pohncna Wala Hi Khuda Tak Pohncta Hai

Ali Arsh Ala Kay Mehwaro Markaz Hain


●Hamari Takhleeq Ki Wajah Hai

Ali Na Khuda Hain Na Bashar Hai Aur Na Hi Farishta

Balke Abad Tak EkRaaz Hai Aur Moama Hain

Ali Abu Turaab Aur AbulHasan Hain

Khuda Ne Mairay Dil Par Ali Likh Diya Hai

Yaqeenan Ali Hi Mairay Ameer Hain

Ya Ali Is Kainaat Ki Wajah ETakhleek Ap Hain

Zameen ParRehtain Huwe Bhi Asmano Ko Rizq Daine Wale Hain Ap

Shio n Ki Izzat Wa Sarbulandi Ki Wajah Ap Hai

Ap KaNaa Azaan KiRooh Aur Rukn Hai 

Ap Kay Ilawa Koi Dusra Fatiha KhyberNahi Hai 

Ali Ya Ali Haider Haider

●Bad r o Khandaq Ka Fatihe Ali Hain
Khuda Ki Qudrat Mutlaq Ali Hain
Fatima Nay Dushmano Kay Samne Kahan
Ali Haq Hai n Ali Haq Hain
Ya Ali Deen Kay Asl Hadaf Hain
Ya Ali Kaabe Kay Liye Sharaf Hain
Shehanshah e Najaf Ap Hain
Ap Kay Siwa Koi Saqie Kausar Nahi Tha
Ap Kay IlawaKoi Khyber Ka Shar Nahi Tha
Ap Kay Bagair Jis Se Behtar Koi Aur Nahi Tha
Ap Kay Siwa Paighambar Ka Koi Jansheen Nahi Tha
Aur Bas Ap Hi Sahib e Mimbar Hain
Ali Ya Ali Haider Haider
●Mehraam Raaz e Yazdaan Ali Ayatain Keh Rahi Hai Dam Ba Dam Nuqta e Baye Quran Ali Kaha Ali Ali Suna Dawa Ali Shifa Ali Ata Ali Jaza Ali Sada Ati Hai Daar Se Dam Ba Dam Ali Ko Na Chorain Gain Rab Ki Qasam Kate YeZabaan Chahe Sar Se Ho Qalam Hatain Gain Na Peeche Kabhi Bhi Qadam Ali Wala Bola Yeh ZaireKhanjer Ali Ya Ali Haider Haider

●Ayat Kibriya Bas Ali Zeenat Mustafa Bas Ali AzmateKibriya Bas Ali Izzat Fatima Hai Bas Ali Kalam Haq Zabane Haq SirateHaqNishane Rab Ali Sadaye Rab Azaan Rab Ali Sonu SonuSonu Yeh Qole Nabi Ali Kay Dost Say Hai Khuda Ki Dosti Abuturaab Se RakheGa Jo Bhi Dushmani KhudaNeKehDiya Who Lanti Hai Lanti Yeh Jhoom Jhoom Kay Khum Main Bole Qambar Ali Ya Ali Haider Haider

●Waris Ambiya Murtaza Adam e Nooh Ka Paishwa Jalwa e Toor Ki Roshni Khizr o Ilyaam Ka Rehnuma Dua Ali Asar Ali Ali Asa Ali Hunar Ali Ali Fiza Ali Qadar Ali Ali Masiha Ka Bhi Hai Masiha Ali Zabih e Khuda Ki Yahi Zindagi Khalil Khuda HO Kay Musa Nabhi Ali Apne Ajdad Ka Bhi Ali Takallum Kaha Nabiyon Ne Aksar Ali Ya Ali Haider Haider