JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE

ZINDAGI BUNDAGI ROSHNI AAGAHI 

ROSHNI AA GAYEE AAGAHI AA GAYEE 


GHUSLE MAYYAT NA KEHNA MERE GHUSL KO

UJLE MALBUS KO MAT KAFAN NAAM DO

MAIN CHALA HOON ALI SE MULAQAAT KO

JIS KI THI AARZOO WO GHADI AA GAYEE


ALI AA GAYE --- 10


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE

JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


ZINDAGI BANDAGI ROSHNI AAGAHI 

ROSHNI AA GAYEE AAGAHI AA GAYEE

JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


MAUT INKE MOHIBBON KO AATI NAHI 

AA BHI JAAYE TO PHIR BACH KE JAATI NAHI 

MAUT KA KIYA KHATAR MAUT SE KIYA HAZAR

ISS BACHNA BHI KIYA AA GAYEE AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


TERI MASNAD PE GAIRON KO BITHLA DIYA

NAYEBE MUSTAFA MAZHARE KIBRIYA

TU ALIO WASIO WALI HI RAHA 

MANZELAT MEIN TERI KIYA KAMI AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


HUM KE SARSHAAR ISHQ AUR TAWALLA MEIN THE

JAANTE HI NA THE NAFRAT-O-DUSHMANI

YE TABARRA BHI WALLAH KYA CHEEZ HAI

HUM KO AGIYAAR SE DUSHMANI AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


MASLAKE ISHQ MEIN MAANGNA AIB HAI 

MAIN BHI KHAMOSH HOON WO BHI KHAMOSH HAIN

UNKO SAB HAI KHABAR ISS LIYE CHUP HOON MAIN

KYA HUWA AANKH MEIN GAR NAMI AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


KHUMS DENA MAWADDAT KI IK SHART HAI

AUR NA DENA BHI MISLE FIDAQ HAI GUNAH

HAQQE SADAAT-O-ZEHRA KE MAQRUZ SE

JAB TABARRA SUNA TO HANSI AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


KYUN NA ROYEIN WO QISMAT KO APNI SADAA

JIN KA PURA MUQADDAR HAI LAANAT ZADA

JINKI QISMAT MEIN APNE HI AAMAAL SE 

BINTE AHMED KI NAARAAZGI AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


SURA-E-AALE IMRAN BHI HAI GAWAAH

MISLE KAUSAR HUI AAL UNKO ATA

JO WO KEHTE THE ABTAR NABI KO MERE

UNKI QISMAT MEIN HI ABTARI AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


ISHAQ-E-HAIDER MEIN PHIRTE THE SHAAM-O-SAHER

UNKE MADDAH HAIN SAARE JINN-O-BASHAR

UNKI AWAARGI KA SAFAR DEKH KAR

ZEHEN MEIN FIKR-E-AWAARGI AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE


SHAYERI KI SHARAYET BATA BHI GAYE

AUR MAYE ISHQ-E-HAIDER PILA BHI GAYE

SIBTE JAFAR MAIN QURBAAN MAYE ISHQ KE

IBNE JAFAR KO BHI SHAYARI AA GAYEE


JUB KHUDA KO PUKARA ALI AA GAYE

JAB ALI AA GAYE ZINDAGI AA GAYEE